Life Is What We Make It

As tagline suggests. “ Life is What we make it” means hum jaisa apni life ko banate hai hamari life waise hi ban jaati hai . hum apni life k apne luck k creator khud hai. Hum apne according life ko chunte hai aur usko chalate hai. Hum jaise karam karte hai hume usi k aadhar pe results milte hai aur hamari life usi path ko follow krti hai isme luck ka koi role nai hota hai. Hum apne kaaryo aur karmo k aadhar pr luck ko badal sakte hai .

Ex. Kumhaar jub ghada banata hai to wo kachhi mitti se saancha banata hai aur fir uspe kadi mehnat se usko aakar deta aur pakka banata hai. Wo usko jaisa aakar dena chahta hai wo waise hi deta hai naaki wo apne ghade banana ki prakriya ko chakri k bharose chor k baith jaata hai, agr wo ghade ko ya mitti k bartano ko sai prakar se naa dhaale to wo chatak jaate hai, isme uski ichha shakti aur lagan kaam aati hai na ki bhaagya.

Yhi ghatna hamare samast jeewan me laagu hoti hai. Hame apni life me kai chakro se gujarna padta hai. Aaj hum me se 90% vyakti kisi na kisi chinta se grasit hai. Kisi ko paise kamane ki chinta, kisi ko bachho ki chinta, kisi ko studies me top me aane ki chinta, kisi ko apni gf ki chinta, kisi ko parents ki chinta, kisi ko luxury life ki chinta etc etc. Insaan inn chintao me kabhi kabhi itna ulaz jaata hai ki wo life k baaki pehluo ko kho deta hai aur in chintao ki udher bun me ulajh jaata hai. Hume ye anmol tohfa kudrat se manav jaati k kalian k liye mila hai, aur sabhi vyakti iss sansaar me kisi na kisi uddeyshya se janam liya hai.

Inn sab samsaayo aur chintao ka kaaran hai hamara man, which consist of Desire and attachment. Desire hona galat baat nahi hai, par desire ka actual need life me, uska role and importance and type of desire ye essential hai. Important ye hai ki uss time kya desires hamare liye important hai aur phle kiski need hai use phle pura karna hai . process suru hta hai wish se, wish se wo desire banta hai aur fir wo chinta me parivartit ho jata hai. Jub wo desire banta hai tb hum puri tarah se uss desire ko pane me kho jaate hai aur itna kho jaate hai ki hume sirf wo desire dikhta hai ki any how hume wo chahiye, ye nai dekhte hai ki usko pane k baad hamari life pr uska kya prabhav padega. Aur yhi hum galti kar jaate hai , kyuki show off ko pane me hum andhe ho chuke the hai, hamare sochne samjhne ki shakati aur dimag band ho chukka hta hai , khula hta hai to bas uss cheez ko pane ka rasta.

Aur jub hum uss cheez ko paa lete hai, to hume uss cheez se itna lagav ho jaata hai itna attach ho jaate hai usse ki use kho dene k darr se hum har samay chinta yukt aur bhay yukr rehte hai aur usko apne paas rokne k liye kuch b kar jaate hai. Kabi kabi to kuch log apni life me inn cheezo ko bachane me itna kho jaate hai ki wo apni life ko ek makdi k jaal me fase hue keede k saman samjhne lagte hai aur chah kr b bahar nai nikal paate hai. Fir wo cheez hume itna pareshan karne lagti hai ki jo khusi hume usko pane me hui thi usse kahi jyda dukh hume baad me hota hai aur hum stressfull hokr life ko enjoy krne ki jagah usi me fas jaate hai.

Money ko hi le lo. Paisa kaun nai kamana chahta hai. Par jarurat se jyda koi b cheez nuksaan karti hai fir wo paisa hi kyu na ho. Hum paise kamane me itne andhe ho jaate hai ki family, friends, infact apni life k important aur khubsurat pal bhi miss kar dete hai, aur wai paisa jab aajata hai to usko surakshit rakhne k chakkar me apne raato ki neend tak kharab kar dete hai, har samay chinta me rehte hai aur kudhte rehte hai , aur fir ant me jaakar bimariyo ko apna ghar bana lete hai aur bhagwan ko koste hai. Life jeena to jaise bhul hi jaate hai. Paisa kya hai ek chal sampatti, jo aaj aapk paas hai kal kisi aur k paas hai, jo aapka hai hi nai usk liye apne itne mehetvpoorn palo, rishto ko kyu kho dena, ye jeewan ek baar mila hai has k jeene ko, to bindaas jiyo, stress free life aur bindaas life ye hamare haath me hai ki hum kya chunte hai.

Aajkal k tradition me yuva hamare, break up hua to apni life aur career spoil kar lete hai. Yha b problem hoti hai desire and attachment ki wajah se. kehte hai pyaar andha hota hai. Sai hai . Love is all about feelings. To bhai feelings rakho na usko dil se true rakho usk liye apne life aur career ko kyu spoil karna . life me agr career stable nai hga kaun sa relationship successful rahega. Par nai wo to future pe daal dete hai aage dekha jayga. Kaun dekh raha hai aage jo present me karoge wai to return me future me milega. Ab agr aapka relation successful nai raha aur aapne apne ko depression me daal liya aur koi galat step utahaya , buri aadato me involve ho gye, career ko chor diya, to usse fayfda kya hua , isse to aapne uss bande ko sai proof kar diya kit ere me potential hai hi nai, I was right in dropping you. Proof him/her what dey lost by dropping you. Aage badho, aur b log hai aapki life me jo importance rakhte hai, jo aapk saath rehna chahte hai, aapk saath life enjoy karna chahte hai unk bare me socho. Dimag ko jagao wo aapko jagayega. Sochne ki shakti aur samjhne ki shakti ko humesha on rakho.

Hume khud se analyse karna chahiye ki hamare liye kya sai hai aur kya galat, hume kis samay kis cheez ki jarurat hai aur kis cheez ki nahi. Jub hum apne aap se ye questions puchenge na to aadhi samsya aur stress to apne aap gayab ho jayga kyuki aapko solution and circumstances dono pata hai . hamari antaraatma se acha koi teacher nai hta hai, jo hume batata hai kya sai hai kya galat.

Focus hamara iss bat pe nai hona chahiye ki hume wo cheez paani hai, balki focus ispe hona chahiye ki hume apne ko iss kabil banana hai ki wo cheez khud hamare paas aajaye. Aisa karne se aapko self satisfaction milega, aapka apna growth hga aur stress free life enjoy kar paoge.

How level of Thinking Effects Life

Hum jub b life me kisi b situation ya trouble me fas jaate hai to sabse pehle hamare dimag me negative thoughts aate hai jo humare upar itne haawi ho jate hai ki humare sochne samjhne ki chamta ko block kar dete hai. Hum dusro ko blame karte hai apni problems k liye, bhagwan ko koste hai jaise jaise unse jyda badnaseeb koi nai.

Aree bhai unko kosne se kya fayda, samasya ka samadhan to nai milega na. Ye to dekho problem ayi kyu hai. Uska generation source kya hai. Par nai chuki huamara dimag to uss problem se ghira hai to soche kaha se.

Bhagwaan Krishna ne Geeta me Kaha hai “ Humari har samasya ka samadhan hamare andar hi hai, bas usko pehchaane ki kala honi chahiye”. Wok ala hum sab me hoti hai bas farq itna hai dusro ki samsya ka samadhan hum dekh lete hai par apni samasya ka nai. Bas ek chota sa step ap le to aap b aisa kar sakte hai.

Agar kuch samay k liye aap apne aap ko uss samasya se alag kar lijiye aur fir sochiye aur dekhiye uss samasya ki taraf, aur vichar kariye aapko swayam apni samasya ka samadhan dikh jayga. Ye mera apna anubhav hai. Mujhe aisi kai samsyao ka samadhan aise mila hai. To yha matter ye karta hai hum kis tarah se sochte hai aur apni problems ko dekhte hai. Give up karne ki jagah agr hum unn problems ko positively dekhe to problems to kuch hai hi nai ek normal sa barrior hai jo aya aur aapne hata diya aur boldly usko lesson diya ki wo dobara na aye.

Dusra hamari soch ka parichay milta hai hamari roz ki life me, jise hum andhvishwaas b kehte hai. Aaap sabi ne apni apni jeewan kaal me inka anubhav kiya hoga.

Billi ka rasta kaat jaana:- bili rasta kaat gyi to ashubh hoga. Kyu hoga hga bhai uss nirjeev pashu ne tumhra kya bigada hai , ek to usk paas rehne ko jo places thi wo tumne saari le li ab wo road se nai niklega to kaha se niklega. Wajah wo jaanwar nai wajah hai hamare andar ka darr jo humare dimag me baithala gya hai ki bura hta hai n all.

Psychologically hota kya hai ki hamara darr ki ki ab kuch bura hoga ya galat hoga, wo darr hume itna bhaybheet aur pareshan kar deta hai ki hum ghabra jate hai aur us ghabrahat me kuch na kuch aise galti kar dete hai ki kuch bura ho jaata hai, ab chuki dimag me ye baitha hta hai ki billi rasta kata thi isliye aisa hua, to hum uss jaanwar ko blame kr dete hai, jabki galati hamari hoti hai.

Kisi k dwara cheek dena:- hum kisi ache kaam se jaa rhe ho to koi cheek de piche se to anisht ho jayga, wo kaam pura nai hoga, ab inko kaun samjhaye ki nostrils me itching bata k to nai hogi na , jb itching hogi to sneezing to hogi hi, to iska kaarya na hone se kya lena dena, yha b wai baat laagu ho jaati hai ki hamari soch aur usse juda bhay hamase laaparwahi karata hai aur hum galat kar jaate hai .

To bhai soch ko badlo usme parivartan lao, life ko jaal mat banao, use khula rakho aur bindaas jiyo, stress se bojh badhega aur aap haseen palo aur kudrat k dwara diye gaye namol tohfo ko waste kar dena aur kuch nai hoga.

So inshort, luck destiny kuch nai hoti hai. Hum jaisa life ko banate hai life waise hi track me chalti hai. Hamari choices k according hume results milte hai. Isliye Geeta me b kaha gya hai “ Inssan ko karam pradhan hona chahiye dharma pradhan nai. Karam karte jaa aur fal ki chinta mat kar” means hum jaise kaarya karenge jaisa karam karenge, hamara bhavishya usi k aadahar pe nirmit hoga, hum jo aaj karenge usi ka parinaam hume bhavishya me milega. So ache karam kiye jaa aur apni life ko mast banaye jaa. We are the only creator of our life. Either good or bad.

Image Source:- Google

Share